Phool khushboo ke nashey mein hi marr jaatey hain
Log pehchaan banaatey huwe marr jaatey hain
Manzilein unnka muqaddar hain keh talab ho jinko
Be talab log tau manzil se guzar jaatey hain
Jinki aankhon mein hon aansoo unhe zinda samjho
Paani marta hai tau daryaa bhi utar jaatey hain...