marne k asani

Garaj baras pyaasi dharthi ko phir paani de maula
ChidiyoN ko daane, bacchoN ko guR-dhaani de maula
Do aur do ka joR hamesha chaar kahan hota hai
Soch samajh waaloN ko thoRi naadaani de maula
Phir roshan kar zahr ka pyaala, chamka nayee salibeN
JhootoN ki duniya meiN sach ko taabaani de maula
Tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyoN ho
Jeene waaloN ko marne ki aasaani de maula

Re: marne k asani

nicee :k:

Re: marne k asani

abhi marney ki batain nooo:nono4:

Re: marne k asani

Maut waqt dekh k nai aati

Re: marne k asani

mout kya waqt bhi nahi ata abb tu kuch dehk ker :hehe:

kis waqt bhi kuch bhi tauba tuaba tuaba :crying:

Re: marne k asani

Do aur do ka joR hamesha chaar kahan hota hai

phir kitna hota hai?

Re: marne k asani

agar Maths weak ho to 5 bhi ho sakta hai :p

Re: marne k asani

Ji waqai ...we are in dire need of it all :(