Amjad Islam Amjad Ki Aik Buhat Khoobsurat Nazm,
Hum Aisay Marg-e-Talab Bhi Na Thay Mohabbat Main
Kay Jalti Aag Main, Bay Khatar Jatay
(Yaqeen Jaan Meri Jaa’n Kay Hum Theher Jatay)
Tumhari Aankh Kay Aansoo Thay, Sail-e-Aab Na Tha
Chhalak Bhi Jatay Ager, Rizq-e-Khaak Ho Jatay
(Misaal-e-Qatra-e-Shabnum,Chamaktay, Kho Jatay)
Raha Woh Harf-e-Wafa Jis Ki Konpal Per
Tumharay Bosa-e-Lub Say Gulaab Jagay Thay
(So Woh Gulaab To Konpal Say Kut Bhi Saktay Hain)
Rahay Woh Khuab Jo Aankhon Kay Aabgeenon Main
Dhanak Kay Rang Liye Doltay Rahtay Hain
(So Aisay Khuab To Aa-ker Palat Bhi Saktay Hain)
So Baat Harf-e-Wafa Ki Hai Or Na Khuabon Ki
Na Doltay Huay Rangon Say Pur Gulaabon Ki
Samay Kay Churtay Utartay Samandar Main
Sub Aik Pal Ki Haqeeqat, Sub Aik Pal Ka Sarab
Dilo’n Main Tark-e-Tamanna Ka Hosla Ho Ager
To Kesa Harf-e-Wafa!
Or Kahan Kay Khuab-o-Gulaab!
Yeh Kesay Dasht-e-Nadamat Main Ghir Gaye Aye Jaa’n
Kay Ek To Tark-e-Tamanna Ka Hosla Bhi Nahin
Or Us Pay Yeh Bhi Qayamat
Ager Bafarz-e-Muhaal
Tumhari Raah Say Phirnay Ka Hosla Bhi Milay!
Palat Kay Jayen Kahan, Ghar Ka Raasta Bhi Milay!
Umeed Hai Aap Logon Ko Bhi Pasand Aye Gi..
Regards,