Mareez_e mohabbat unhi ka fasana
sunata raha dam nikaltey nikaltey
magar zik’r_e shaam_e alam jab bhi aaya
chiraagh_e sahar bujh gaya jaltey jaltey
Irada tha tark_e mohabbat ka lekin
faraib_e tabassum main phir aa gai hum
abhi kha k thokar sambhalney na paay
k phir khaai thokar sambhaltey sambhaltey
unhain khat main likha tha dill muztarib hay
jawaab un ka aaya mohabbat na kartey
tumhain dill laganey ko kis nay kaha tha
behal jaay ga dill beheltey beheltey
wo mehmaa.n rahey bhi tu kab tak humarey
hoi shama gull aur dobey sitarey
Qamar is qadar un ko jaldi thi ghar ki
wo ghar chal deye chandni dhaltey dhaltey
Re: Mareez_e mohabbat unhi ka fasana-----Qamar Jalalvi
wo mehmaa.n rahey bhi tu kab tak humarey
hoi shama gull aur dobey sitarey
Qamar is qadar un ko jaldi thi ghar ki
wo ghar chal deye chandni dhaltey dhaltey
Buhat Khubsurat Aakasi Key Gai Hay Chand Sitaroon Key ..... welldone nice sharing BB