Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana

**
jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone me
use poori tarah se tum bhulado phir chale jana **
**
**ye sare perh podhe tum bin ek rut jage hue
tum aake ek baar inko sulado phir chale jana **

**kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana **

bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
jo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale jana

**wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
bus in alfaz-o-maane ko mitado phir chale jana **

**jo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki
sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana **

**jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana **

**mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!!!
**
**

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

excuse me who r u ,from where u got this poem???:naraz:

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

why r u getting angry mam

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

nice one :)

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

nice!

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

Nice :k:

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

It's Nice

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

Nice!

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

Lovely Ghazal G

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

thanks

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

very touchy

Re: Maray Sawalon Ka Jawab Do Phir Chalay Jana

nice 1