Bohut mailaa hai sooraj
kisi dariya key paani mein
isey dhou kar sukhaaein phir
gagan mein chaand bhi kuch dhundla dhundla hai
mitaa key iss key saarey daagh dhabbey
jagmagaaein phir
hawaaein sou rahi hein
parbatoun par paon phailaaye
jagaa key unn kou neechay laaein
paeroun mein basaaein phir
dhamaakey kachchi neendoun mein
daraa detey hein bachchoun kou
dhamaakey khatam kar key
louriyoun kou gungunaaein phir
woh jab sey saath hai yoon lag raha hai
apni yeh duniya
jou sadiyoun ki wiraasat hai
jou hum sab ki amaanat hai
puraani hou gayi hai
iss mein ab
thori marammat ki zaroorat hai !