dasht mein piyas bhujaty hoay mar jaty hain
ham parindy kahein jaty hoay mar jaty hain
ham hain sokhy hoay talaab pe bethy hoay hans
jo ta’alaq ko nibhaty hoay mar jaty hain
un k b qatal ka ilzam hamary sar hy
jo hamien zehr pilaty hoay mar jaty hain
ye mohabbat ki kahani nahi marti laikan
log kirdar nibhaty hoay mar jaty hain
ham hain un tooti hoi kashtiyon k muhafiz TABISH
jo kinaron ko milaty hoay mar jaty hain…!!!