Mar jatay haiN !

Dasht meiN payas bhujaaty huay mar jaty haiN
Hum parindy kahin jaty huay mar jaty haiN

Hum hain sookhy huay talaab pe baithy huay Huns
jo talouq ko nibhaty huay mar jaty haiN

Ghar ponchta hai koe aur humaray jaisa
hum tere sheher see jaaty huay mar jaty haiN

Kis Terah Loog Chalay Jatay Hain Uth Kar Chup Chap
Hum Tou Yeh Dehaan Main Laaty Huye Mar Jatay HAiN

un k qatal ka ilzam b humary sar hai
jo humein zeher pilaty huay mar jaty haiN

ye muhabbat ki kahani nahi marti lakin
loog kirdaar nibhaaty huy mar jaty haiN

hum haiN wo tooti hui kashtiyoo waale taabish
jo kinaaron ko milaaty huye mar jaty haiN

Re: Mar jatay haiN !

wah really awesome.....i m spellbounded.............samajh nahi aa raha kis shair ke tareef karoon ..............har shair he bohat khoobsurat hai .........very nice ....:) :) :)

Re: Mar jatay haiN !

Hum hain sookhy huay talaab pe baithy huay Huns
jo talouq ko nibhaty huay mar jaty haiN

Kis Terah Loog Chalay Jatay Hain Uth Kar Chup Chap
Hum Tou Yeh Dehaan Main Laaty Huye Mar Jatay HAiN

ye muhabbat ki kahani nahi marti lakin
loog kirdaar nibhaaty huy mar jaty haiN

hum haiN wo tooti hui kashtiyoo waale taabish
jo kinaaron ko milaaty huye mar jaty haiN

Simply amazing ... great use of words, metaphors... everyone can related to it hence a wonderful poem !!!

Re: Mar jatay haiN !

nice sharing PG :)

Re: Mar jatay haiN !

buhut khoob sharing :)

Re: Mar jatay haiN !

thanx 4 sharing

Re: Mar jatay haiN !

ye muhabbat ki kahani nahi marti lakin
loog kirdaar nibhaaty huy mar jaty haiN

hum haiN wo tooti hui kashtiyoo waale taabish
jo kinaaron ko milaaty huye mar jaty haiN
[/QUOTE]

beautiful :k:

Re: Mar jatay haiN !

very beautful

Re: Mar jatay haiN !

:k:

Re: Mar jatay haiN !

thanx to All : )