maqrooz

maqrooz

main apni duaon ke saray phool
tumhari jholi mean daal kar
tahi daman wapas ja raha hoon
tum chao tou inhein samet lo
ya massal ke phenk do
aggar aisa nahi kar saktay
tou meri jagi hui raatien
meri ebadatien wapas kar do
kuch chahay un-chahay lamhay
jo tum par qarz hain
lekin main muhabbat mean qarz ka qaiel nahi hoon
main ne har bari raat
muhabbaton ka qarz uttara hai
yahan tak ke main asmano mean chuppay
apnay khuda ka maqrooz ho gaya hoon

:k:

shukaria janab

Nice je

:k: