~ Maqaam-e-Bewafaai ~

[thumb=H]sagalib_117759_4698684.JPG[/thumb]
*
Jahaan pe sehar aa ke toota jahaan pe baat khatam huwe
Jahaan per chaand bhuj gaya jahaan pe neend urh gaee
Jahaan pe aietbaar ke mausam aik dam thattak gaye
Jahaan pe lafz ke dhaaray bay-simt murr gaye
Jahaan larazti palkoon se aansoo ulajh gaye
Jahaan dil mein door tak saaye uttar gaye
Jahaan aankhoon ki putleyoon se bisarat juda huwe
Jahaan paoon ke chaloon ne ki fareyaad-e-maseehai
Jahaan ruk ke jazboon ne aik ghehri saans lee
Jahaan uthee huwi nigah tehar tehar gaee
Jahaan dil ki dhuarkan ne doobna chaaha
Jahaan haath ki lakeroon ne cheekhna chaaha …
Woh …
Maqaam-e-Bewafaai thaa … !

Re: ~ Maqaam-e-Bewafaai ~

Nice... Tnx Arif :)