Manzur badul gay pus manzur badul gay
Halaat apnay shaher k yuksur badul gay
Suraj k doobnay pay na hairaan hoaay kabhi
Ab sochtay hain kitnay calendar badul gay
Qaim hai aik rawayat’ay dereena zulm ki
Bazo badul gay hain kabhi khunjar badul gay
Kya kuch batam’ay udul yahaan ho nahi raha
Jo faisalay kyey gay aiksur badul gay
Pehlay say khadukhal na pehlay say hain khiyaal
Hum kitnay aik saal k under badul gay