i love this song, i thought i’d post the lyrics here
enjoy ![]()
manzilon pe aake lutTe hain dilon ke kaaravaaN
kashtiyaan saahil pe aksar, Duubtii hain pyaar kii
manzilen apnii jagha hain raaste apnii jagha
jab qadam hii saath naa dein, toh musaafir kyaa kare?
yuuN toh hai hamdard bhii aur hamsafar bhee hai meraa
barh ke koI haath naa de, dil bhalaa phir kya kare?
Duubne vaale ko tinke kaa sahaaraa hii bohat
dil behal jaae faqat, itnaa ishaaraa hii bohat
itne par bhii Aasmaan Vaalaa giraa de bijliyaaN
koI batla de zaraa ye duubtaa phir kyaa kare?
pyaar karnaa jurm hai toh, jurm hamse ho gaya
qaabil-e-maafii hua karte nahiin aise gunaah
sangdil hai ye jahaan aur sangdil meraa sanam
kyaa kare josh-e-junoon aur hauslaa phir kyaa kare?
manzilen apnii jagha hain raaste apnii jagha
jab qadam hii saath naa dein, toh musaafir kyaa kare?