bahot Khoob…lagtaa hai aap kaafii mashshaaq shaa’ira haiN…aapkii nazm pasand aayii…daad o teHseen qubool farmaaiye.
agar aap buraa na maaneN to 'arz karuuNgaa k “ab tak bhii” zaraa mauzooN nahiiN lagtaa lihaaza agar aap ise “abhii tak” se mutabaadil kar deN to merii naaqis raaye meN bahtar hogaa…aapkaa kia Khayaal hai?