Manzil

Duur hai manzil raahein mushkil aalam hai tanhaee ka
aaj mujhe ehsaas huaa hai apni shikasta_paee ka

dekh ke mujh ko dunya waale kehne lage hain dewaana
aaj wahaan hai ishq jahaan kuch khauf nahi ruswaee ka

chorh dein rasm-e-khud nigari ko torh dein apna imaan
khatm kiye deta hai zaalim roop teri angraee ka

maine ziya husn ko bakhshi uss ka to koee zikr nahi
lekin ghar ghar mein charcha hai aaj teri raanaee ka

ahal-e-hawas ab ghabrate hain doob ke bahr-e-gham mein Shakeel
pehle na tha inn becharon ko andaaza gehraaee ka
By: Shakeel Badayuni

Re: Manzil

bohet khoub :)

Re: Manzil

Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bheerh mein tum bhi nikal sako to chalo

idhar udhar kaee manzil hain chal sako to chalo
bane banaay hain saanche jo dhal sako to chalo

kisi ke waaste rahein kahaan baldalti hain
tum apne aap ko khud he badal sako to chalo

yahan kisi ko koee raasta nahi deta
mujhe girake agar tum sambhal sako to chalo

yahi hai zindagi kuch khwaab chund umeedein
inn he khilauno'n se tum bhi bahal sako tu chalo

her ik safar ko hai mahfooz raaston ki talaash
hifazaton ki riwaayat badal sako to chalo

kaheen nahi koee suraj, dhuaan dhuaan hai faza
khud apne aap se baahar nikal sako to chalo

By: Nida Faazli

Re: Manzil

kisi ke waaste rahein kahaan baldalti hain
tum apne aap ko khud he badal sako to chalo

Bohet khoob

Re: Manzil

Manzil-e-jaana ko jab ye dil ravaa'n tha dosto
tum ko main kaise bataoon kya samaa'n tha dosto

dil ki her dharkan makaan-o-lamakaan per thi muheet
har nafas raaz-e-do aalam ka nishaa'n tha dosto

dhundne per bhi na milta tha mujhe apna wajood
main talaash-e-dost mein yun benishaa'n tha dosto

karb ne paeda kiya tha khud he duuri ka samaan
faasla warna haa-il kahaa'n tha dosto

partav-e-dil mein nihaan thi teh-ba-teh ye khamoshi
ishq ka wo bhi ik izhaar-e-bayaa'n tha dosto

jalwagaah-e-dost ka aalam kahoon main tum se kya
jalwa he jalwa wahaan tha main kahaa'n tha dosto

dil ne her lamhe ko dekha ik niraale rang mein
lamha lamha daasta'n dar daastaa'n tha dosto

kaash tum bhi meri palkon ka nazara dekhte
ye nazara kehkashaa'n dar kehkashaa'n tha dosto

By :Azad

Re: Manzil

Buhut khub :k: Mir Abbas ji

Re: Manzil

THX 4 SHARING :)

Re: Manzil

wow really wonderful choice.... :)

Re: Manzil

Thanks....

Re: Manzil

Aese chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaese
tera milna bhi judaee ki gharhi ho jaese

apne he saaye se her gaam laraz jaata huun
raaste mein koee dewaar khari ho jaese

manzilein duur bhi hain manzilein nazdeek bhi hain
apne he paao'n mein zanjeer parhi ho jaese

kitne nadaan hain tere bhulane waale ke tujhe
yaad karne ke liye umr parhi ho jaese

aaj dil khol ke roye hain tu yun khush hai Faraz
chund lamhon ki ye raahat bhi barhi ho jaese

By : Ahmed Faraz