manzil tak anay tak aiman badal jatay hain
kisi ko apna bananay kay nazriat badal jatay hain
kisi ko chahtay hain aur kisi aur kay hu jatay hain
is tarah say yaron kay ihsasat badal jatay hain
mohabbat ik haseen jazba hai is ka ghum bhi sukh hai
kuch ahd-o-qarar karnay walon kay khayalat badal jatay hain
shoro shoro main sadma ka bohat sog manatay hain
rafta rafta yehi ghum kirdar main dhal jatay hain
hasil jo shay kar lain aksar aisa hota hai
is kay liye apnay jazbat badal jatay hain
daur hoon to bohat haseen aur pur waqar nazar atay hain
qareeb say chehron kay unwan badal jatay hain
tu bhi insan hai aur apni zaat say majbor aasma
insan ki fitrat hai kay har roz badal jatay hain