Manzil ki taraf ek bhi rasta nahee jaata
Lekin meri aankhoon se woh chehra nahee jaata
Bikhray huwe kaagaz bhi utha leta hoon aksar
Jab dil mein iraada ho tu socha nahe jaata
Khamoosh rahon mein tu woh jeenay nahee detay
Boloon tu tere shehar mein bola nahee jaata
Is tarha mein duniya ke jhameloon mein phansa hoon
Woh mujhe ko pukaray bhi tu thehra nahee jaata
Ek naam ke likha hai mere dil mein abhi tak
Ek naam mere haath se likha nahee jaata
Ehwaal-e-Aseeraan-e-Qaffas kaise sunaoon
Do saans ke mehmaan ko chera nahee jaata
Jab dil bhi pareshaan ho muqqadar bhi bura ho
Phir ashk Arif aankh mein roka nahee jaata
Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaayega…!