Manzil kay paas akay jo rasta badal gaya...!!

**

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha aieenay main naqsh
phir yoon huwa kay khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmoon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churhaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jagaah par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

aik sarghoshi ki mauj nay kaisay kiya kamal
wo bay niyaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiyaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko aik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
Manzil kay paas akay jo rasta badal gaya

qayem kisi bhi haal pay duniyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mausumoon ki khabar us ko ho gayee
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

aankhon main jitnay ashk thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri duniyaa badal gaya

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain logh
nah janay kon shehar ka naqsha badal gaya …!!

**

amazing … cool … emotional … love it … :k:

Thanks Sinner!

no prob… gaya ki jagah gai hota tou :k:

:wink:

Re: Manzil kay paas akay jo rasta badal gaya…!!

[QUOTE] *Originally posted by Lamhay: * **

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha aieenay main naqsh
phir yoon huwa kay khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmoon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churhaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jagaah par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

aik sarghoshi ki mauj nay kaisay kiya kamal
wo bay niyaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiyaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko aik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
Manzil kay paas akay jo rasta badal gaya

qayem kisi bhi haal pay duniyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mausumoon ki khabar us ko ho gayee
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

aankhon main jitnay ashk thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri duniyaa badal gaya

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain logh
nah janay kon shehar ka naqsha badal gaya …!!

**
[/QUOTE]

Again a superb work … :k::k::k:
Keep it up … !

bohat khoob :k:

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
Manzil kay paas akay jo rasta badal gaya

zabardast lamhay G :flower2: :flower1: :flower2: :flower1:

**Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya **

Zabardast.. wah… Tnx Lamhay :flower1: