Manzar Bhopali!

Humaare zakhm usse kab shumaar karna hai
Qareeb aa keh bahaane se waar kerna hai

jataana chahta hai woh keh ab mein haakim hoon
nishaana us ka mujhe be-waqaar kerna hai

Seyaasi logoon se khidmat ka naam mat lena
keh paanch saal unhein karobaar kerna hai

Humaara naara faqat La-Ilah-ha Illal-lah
Ab aakeh waar kare jisko waar kerna hai

Yeh saara shor to jungle mein be-maaini hai
Usse to sirf humaara shikaar kerna hai

Mein jaanta hoon hawaao’n keh saare mansoobe
libaas phoolon keh ab taar-taar kerna hai

-----Manzar Bhopali