Hi guyz…this is one of my favourite ghazal by Manzar Bhopali.
Hope u like it!
Sach kahoo’n mujh ko yeh unwaan burra lagta hai
Zulm sehte hoe insaan burra lagta hai
Is qadar ho gaee masroof yeh duniya apni
Aik din tehre to mehmaan burra lagta hai
Hum mujahid hein par eemaan ki khaami dekho
Ab humein jung ka medaan burra lagta hai
Is qadar doobi hein T.V mein hamaari naslein
In ko Quran ka farmaan burra lagta hai
Mere ALLAH meri nasloon ko zillat se nikaal
Haath phelaai musalmaan burra lagta hai
Un ki khidmat to barri shai hai bahoo betoon ko
boorhe maa’n baap ka farmaan burra lagta hai
Sar to jhuk jaata hai is waaste Manzar mujhko
Zarf waale ka bhi ehsaan burra lagta hai