maana woh ik khawaab tha dhhoka nazar ka tha
uss bewafa se rabt magar umar bhar ka tha
khushbu ki chand mast lakeereN ubhhaar kar
lauTa udhhar hawa ka woh jhhoNka, jidhhar ka tha
nikla woh baar baar ghaTaaoN ki oT se
uss se muamla to faqat ik nazar ka tha
tum muskra rahe the to shab saath saath thi
aansu gire the jis pe woh daaman sahar ka tha
ham aaj bhi khud apne hi saaye meN ghhir gaye
sar meN hamaare, aaj bhi sauda safar ka tha
saHra ke sar ki maaNG hai ab tak woh ik lakeer
haasil jise gharoor meri rahguzar ka tha
kaali kiran, yah gung sadaaoN ke daaiyre
pohancha kahaN qaisar, iraada kidhhar ka tha..!