Man nami goyam Annal Haq

Re: Man nami goyam Annal Haq


oops! second she'r kaa matlab Ghalat likh gayaa...(so kar uThaa thaa lol)...matlab yeh hai:

kah do k maiN vaisaa nahiiN kahtaa jaisa k meraa dildaar kahtaa hai! [k maiN hii sach huN, maiN sach huN (ya'nii Khudaa huN)!]

jise aap ne chaar lines meN likhaa hai vo dar asl, mere Khayaal se, sirf do lines hii haiN...ya'nii k yeh kisii Ghazal kaa ek she'r hai...[kaun hai shaa'ir?] jiskaa maiN matlab yuN samjhaa huN:
**
na mee goyam, "ana-al-Haq", yaar mee goyad...b'_go!
chhuN na goyam chuuN miraa dildaar goyad, b'_go!**

shaa'ir kahtaa hai k maiN to vo nahiiN kahtaa jo Khilqat kahtii hai k maiN hii Khudaa huN [ya'nii merii zaat Allah kii zaat meN zamm ho gaii hai]...vo kahte haiN to unko kahne do...ab, duusre misr'e meN shaa'ir ai'laan e 'aam kartaa hai k "sab se kah do, o'sunnewaalo! k jo Khalq kahtii vo maiN nahiiN kahtaa, yeh meraa da'va nahiiN hai...yeh unkii andhii taqleed hai...yeh unkii jihaalat hai, yeh unkii gumraahii hai!"...

...afos k aaj ke daur-e-jaahiliya meN yehii sab kuchh ho rahaa hai...peer, auliyaa ke naam pe shar, shirk aur gumraahii phailaaii jaa rahii hai...vo sab unke naam se mansoob kiyaa jaa rahaa hai jo unhoN ne nahiiN kahaa aur jo Islam ke ai'n munaafii hai...shirk kaa Islam se koii vaasta nahiiN aur qayaamat ke din, inshaa Allah, yehii auliyaa Hazrat Isa [a.s.] kii taraH kaheNge k "yeh bohtaan hai, maiN ne in se kabhii nahiiN kahaa k meri qabr ko sajda karo...in se meraa koii ta'alluq nahiiN, inheN mere saamne se haTaa deN...yeh mere nahiiN Allah kii waHdaaniyat ke dushman haiN"...

...inshaa Allah, aisaa hii hogaa! qabroN kii tijaarat banaa rakkhi hai! shame!

Re: Man nami goyam Annal Haq

:hmmm: KKF what is the usage of yaar and dildaar in the shair refer, if its about khilqat?

Re: Man nami goyam Annal Haq

i would thin k of general public and those who are his devotees type of relationship…mujhe shaa’ir kaa naam nahiiN pataa…is liye shaa’ir ke mood aur uske andaaz e bayaan kaa ilm nahiiN…shaa’ir kii shaKhsiyat she’r ke ma’aanii meN asar andaaz huaa kartaa hai…kaun hai shaa’ir?

Re: Man nami goyam Annal Haq

I don't know the name of poet, but its about Mansoor Hallaj who was himself a poet. Somehow, I feel that the meaning would be:

Main nahin kehta 'Main Khuda hoon', ye mera yaar kehta hai

Meaning whatever I say is under the command of the God

Re: Man nami goyam Annal Haq


well, if he was the poet then it makes sense...isii liye 'arz kiyaa thaa k shaa'ir kii shaKhsiyat she'r ke iftaam o tafheem meN mo'aavin hotii hai. vaise, i believe he committed kufr by saying that [Allah knows best!]...Huzoor [SAWS] yaa saHaaba e karaam se baalaa tar yaa baRe to nahiiN the vo!...Huzoor [SAWS] aisii baat kahnaa yaa sunnaa hargiz gawaaraa na karte kiuN k yeh Islam kii rooH ke munaafii hai...Islam aisii Haraakaat o qaul o aqwaal ko jaaiz qaraar nahiiN de saktaa...insaan apnii 'aql o hosh agar gaNwaa de to vo paagal kahlaataa hai, majzoob nahiiN...Islam meN majzoobiyat kaa koii concept nahiiN...yeh sab Dhong hai, dikhaavaa hai, riyaa kaarii hai, ai'yaarii hai jo hamaarii qaum men aa gaii hai...sunii sunaaii par aamanna saddaqna kahte haiN, bhale hii vo kitnii hii deen ke muKhaalif baat kiuN na ho!

Re: Man nami goyam Annal Haq

Now thats an unending discussion. Sufis says that there is nothing against Sharia. Mansoor was killed by the orthodox clergy by alleging that he committed kufr. Sufis say today we know Mansoor not those fanatic orthodox. Sach reh gaya aur batil mit gaya.

Re: Man nami goyam Annal Haq


i agree on that there is no end to such discussion is liye yeh kahna Ghalat na hogaa k aap apnii kahiye, maiN apnii kahuuN...baaqii Allah bahtar jaantaa hai...

...vaise, aap Khud sochiye k kia Islam aisii baatoN kii ijaazat de saktaa hai jisko dekh kar hii karaahat aaye, dil pe baat na saje...zehn maanne se inkaar kare...kia aisaa deen-e-Islam kaa muddo'aa ho k log saRkoN par barahnaa phireN aur anal Haq kaa na'ra baland kareN aur tamaam tar ta'leemaat kii nafii kare! aisaa Islam MoHammad [SAWS] kaa hargiz nahiiN ho saktaa...maiN zaatii taur par aisii HarkatoN ko kufr samajhtaa huN. :) thank you! :)

Re: Man nami goyam Annal Haq

Mere khayal se ek cheez agar samajh main na aae to usko yaksar bura nahin kehna chahiye. Sadiyon se insaan apne dili sukoon ke liye kai cheezen manta aur un per yaqeen karta aya hai. Ek shakhs ka yaqeen doosre ke liye qabil e aitbaar ho bhi sakta hai aur nahin bhi. Thats all natural :)

Re: Man nami goyam Annal Haq


dunyaavii baatoN meN to yeh gunjaaish hai magar deen meN aisaa nahiiN karnaa chaahiye...kiuN k...Allah kahtaa hai k apne deen ko "Allah ke liye Khaalis kar lo"...ab is men milaavaT qata'ii deen bardaasht nahiiN kar saktaa aur jo cheez islaamii 'aqaaid, ta'leemaat aur aHkaamaat ke Khilaaf ho vo kufr kii zumur meN aataa hai...Hataa k namaaz kaa jaan boojh kar tark karnaa bhii kufr ke seGhe meN aataa hai...Khair...ham sab apne apne 'aamaal ke zimmedaar haiN magar jis baat se fitnaa uThe usko bisaat ke liHaaz se roknaa hamaaraa farz hai...aapne dekhaa hogaa k Qur'aan "logoN ko achchhaaiyoN kii taraf bulaane aur buraaii se rokne" ke aHkaamaat hamesha saath saath aaye haiN...kabhii alag alag nahiiN aaye...iskaa matlab yeh hai k ham in donoN umoor se roo-gardaanii nahiiN kar sakte...aaj isii baat kaa to ronaa hai k ham ne logoN ko "buraaii se rokne" kaa kaam sire se band kar diyaa hai...ise roknaa to kujaa iskii baat sunna bhii ab logoN ko gawaraah nahiiN...

...agar ham men quwat hai to ham ko bure kaam rokne kaa Hukm aur agar rok nahiiN sakte to iske Khilaaf bolnaa farz hai aur agar bol bhii nahiiN sakte to kam se kam dil emN ise buraa zaroor samjheN...

...maiN is baHs ko isii nukte par laa kar iKhtitaam pazeer kartaa huN k "maiN ise dil se sirf aur sirf Allah kii razaa ke liye" buraa samajhtaa huN...:) take care! yeh mere iimaan kii kamzor tareen Haalat hai.

Re: Man nami goyam Annal Haq

KKF main aap ke nazriye aur soch ki qadr karta hoon. lekin jis aqeede ko aap kufr thehra rahe hai, mukhtalif adwaar main usse boht se parhezgaar aur aalim logon ki support mili hai, so I won't say its totally wrong. May be we are unable to understand it in that way