Assalamoalaikum!! As i m not good in writing ‘nazam’ but tried to write ‘nazam’ first time. and gonna share with you all, if u’d find any mistake then plz let me know bout it. Thank you
Arz karta hoon!!
Maloom Nahin
Suno !
mein nai tum say kai batain kehni hain
Aksar kehnay ka irada karta hoon
magar lafz nahi miltay
tou!
mein ankhen band kar kay
tumain sochta hoon
tumain tasawur mein mujasim kar kay
ba’ghor detkha hoon
mujhay alfaz mil jatay hain
mein tum say woh sab
kehnay lagta hoon!
magar lub nahi khultay
shayad !
yeh sab batein
younhi unkahi rahien gi
sab khuawishein dil mai
younhi dabi rahein gi
magar phir
kuch soch kar
mein tum say yeh kehta hoon
Kiya Tumain mujh say Mohabbat hoi hai?
Tumara wo
paishani pay salwatien dal kar
abroo khinch kar mujhay ghor say dekh kar
dheeray say yeh kehna
“maloom nahin”
tou!
mein ankhen band kar kay
tumain sochta hoon
tumain tasawur mein mujasim kar kay
ba’ghor detkha hoon
mujhay tumari baat k maeni miltay hain
kai ager tumain
mujh say mohabbat na hoti
tumain meri zaroorat na hoti
tum jo mujh say roz milti ho
meray liye aksar hansti ho
mujh say dhair si batain karti ho
magar
phir sochta hoon
ye sab khuwab sa lagta hai
ik sairaab sa lagta hai
kab tak mai ankhen moondun?
kab tak is kay piichay bhagoon?
tou!
mein ankhen band kar kay
tumain sochta hoon
tumain tasawur mein mujasim kar kay
ba’ghor detkha hoon
mujhay apnay sawlon k
sab jawab miltay hain
tab mein tum say kehta hoon
Suno !
Kiya Tumain mujh say Mohabbat hoi hai?
tum dheeray say muskra k kehti ho
“Maloom Nahin”
sodaii