mairii saadgi daikh kya chahta hun

tairay ishq kii inteha chahta hun
mairii saadgi daikh kya chahta hun
sitam hoa k hoa wada-e-bay hijaabi
koii bat sabar aazma chahta hun
yeh janat mubarak rahay zaahidun ko
keh mein aap ka saamna chahta hun
zara saa to dil hun, mager shaugh itna
wohi lun taraani suna chahta hun
koii dum ka mehmaan hun aai aehl-e-mefil
charaagh-e-sehar hun bhuja chahta hun
bhari bazm mein raaz kii baat keh dii
baraa be-adab hun saza chahta hun

Re: mairii saadgi daikh kya chahta hun

Very Nice… Tnx For Sharing :flower1:

Re: mairii saadgi daikh kya chahta hun

chinese chacha kis bechari ki shamat ai hui hai

Re: mairii saadgi daikh kya chahta hun

^ khala barbie .. kisi ki nahi :p