maira safar

Assalam alaikum everyone. its that time of the year again and i have my exams in couple of weeks so i won’t be able to come online and appreciate all your nice posts :frowning: …but inshaAllah will be back after my exams jatai jatai aik nazm by Ali Sardaar Jafri… its kinda long but very nice so take the time to read it… have fun everybody and be nice to each other!

phir ik din aisa ayai ga
ankhon kai diyai bujh jain gai
hathon kai kanwal kumhlain gai

aur barg-e-zuban se nataq-wa-sada
ki har titlee ur jai gi

ik kalai sumander ki tah main
kaliyon ki tarah se khiltee hui
pholon ki tarah se hanstee hui
saree shaklain kho jain gi

khon ki gardish dil ki dharkan
sub rangeeniyan so jain gin

har cheez bhula di jai gi
yadon kai haseen butkhanai se
her cheez utha di jai gi
phir ko nahi ye pochai ga
‘Sardaar’ kahan hain mehfil main

lakin main yehan phir ayonga
bachon kai dahan se bolonga
chiryon ki zuban se gaonga

main rang-e-hinna ahang-e-ghazal
andaaz-e-sukhan ban jaonga
rukhsaar-e-uroos-e-nau ki tarah
her anchal se chan jaonga

jaadon ki hawain daman main
jab fasl-e-khizaan ko lain gin
rehroo kai jawan qadmon kai talai
sokhai huay paton se mairai
hansnai ki sadain ayaingi

aur sara zamana daikha ga
her kissa maira afsana hai
her ashiq hai Sardaar yehan
her maushooka Sultana hai

main aik guraizan lamha hon
ayyam kai afsoon khanai main
main aik tarpta katra hon
masroof-e-safar jo rehta hai
mazee ki surahee kai dil se
mustakbil kai paimanai main

main sota hon aur jagta hon
aur jaag kai phir so jata hon
sadiyon ka porana khail hon main
main mar kai amar ho jata hon

bahut khoob!

and good luck for ur exams dil laga kar parhna aur kamiyaabi k sath wapis ana :) (inshallah)

nice! :k:

Guest7777, thanks for sharing... n good luck 4 ur exams...:)

Apni taleem per tawwajjah do, mat paro poetry ke azaaboon mein
Umer kat'ti hain un ki kantoo per, phool rakhtay hain jo kitaaboon mein

(Sorry, I've changed ... mat paro ishq ke azaboo mein...)

nice:k:
.
.
.
.
gud luk in examz:k:

Very nice jee... and GOOD LUCK for ur examsss

buhat khoob :k: