Main ussay bhool kar khush Hoon~

***Haqiqat Hai Yaqeen karlo, Main use BhoOl Ker Khush HOon
Muhabbat mar Chuki Abb To, Main use Bhool ker Khush hOon

badalti raat Ki Wajha Se, Tabiyat kuch Bojhal Si hai
YuN mera haal Mat pooch main use BhOol ker KHush Hoon

meray lehejay per mat Chonkoo, meri Ankhon Main mat JhanKOo
Yun hairat se Na DekHOo, Main Use Bhool ker Khsuh hOon

tumhain kya wehem hai, kiun raat bhar milnay nahin atin
aye meri neend ki pariyo, main use bhool ker khush hoon

bhala kiun rooz baahain waa kiye mujh se milnay ati hai
tum us ki yaad se kehe doo , main use bhool ker khush hoon

udasi saray ghar main phelti jati hai ghum ban ker
dar-o-dewar per likhdoo, main use bhool ker khush hoon***

Re: Main ussay bhool kar khush Hoon~

Gr8 words - very touching indeed! R they ur own?

Re: Main ussay bhool kar khush Hoon~

no..not mine

Re: Main ussay bhool kar khush Hoon~

Nice

Re: Main ussay bhool kar khush Hoon~

Hum tujhey bhool ke khush bethey hein
hum sa bedurd koee kia ho ga

Re: Main ussay bhool kar khush Hoon~

udasi saray ghar main phelti jati hai ghum ban ker
dar-o-dewar per likhdoo, main use bhool ker khush hoon

Very nice...........:))

Re: Main ussay bhool kar khush Hoon~

Nice stuff Dania