Nazar Main Zulmat Badan Main Thandak, Jamal Kitna Ajeeb Sa Tha.
Main Uski Chahat Main Ghar Say Nikla Tau Haal Kitna Ajeeb Sa Tha.
Naa Mainay Usko Khatoot Likhay Naa Usnay Meri Panah Chaahi.
Dono Ko Apni Bekhudi Pay Malaal Kitna Ajeeb Sa Thaa.
Wo Apni Raaton Main Chaand Daikhay, Main Apni Raaton Main Usko Sochon.
Badaltay Lamhon Main Soch Ka Ye Wisaal Kitna Ajeeb Sa Thaa.
Safar Akaylay Hee Kaat Logay Ye Mainay Poocha,Tau Ro Diya Woh.
Jawab Kitna Ajeeb Sa Thaa, Sawaal Kitna Ajeeb Saa Thaa…(