main usay daikh ke hairan huwa phirta hoon,
wohi gaati hui ankhain, wohi andaz-e-kalam
wohi gulnar tabassum say mehakta chehra
wohi khush rang kharam
narm lehjay main tarannum ki wohi gulkari
jaisay wo kal ki gai aaj chali aai ho
jaisay sab jaag ke kati huin kali ratain
sard kamray main thitharti huin sochain yaadain
raat bhar roi hui ankh say bheegay takyee
aur taalo say chimtay huay karway lamhay
(meray behkay huay khwabon ke tarasheeda thay!)
main ne socha tha guzartay huay karway lamhay
us ke taloo say bhi chimtay hon gain !
us ke takiyoon pe meri yadain
ashk ban ban ke tapakti hon gein!
sard raton main sam-e-tanhai
uski neendon ko bhi khata ho ga!
us ki ankhon main magar dard ka saaya bhi na tha
(jaisay wo guzray huay waqt say guzri hi na thi)
jaisay us nay mujhay chaha bhi na tha
mujh ko yun samnay pa kar wo harasan na hui
meay be rabt sawalon say paraishan na hui
apnay manoos tabassum main tarannum bhar kar
mujh say chaltay huay boli “hello
Shair-e-waqt kaho , kaisay ho”
‘main usay daikh ke hairan huwa phirta hon’
Amjad Islam Amjad