main un hi lamhon main jee raha tha
na jin mian koi hakeekaten thin
na koi lamha wisaal ka tha
ajab si bekhudi ko main ne
dil o nazar main sama liya tha
main beete lamhon ki rahguzar par
udaas yaadon ka hath thaame
tanha akela hi aate jaate
musafiron ko dekhta tha
ke shaid un main se to kisi ko
wisaal e yaar ka lamha lamha
poore ufaq aur poori adaa se
rah e wafa main naseeb ho ga
koi to ho ga ke jis ka chehra
teri nazar ki musafaton main
saroor e jaan ban ke thehra ho ga
magar kahin un musafaton main
ya beete lamhon ki ahaton main
na apna koi bhi aks paya
na apna koi bhi haq paya
dil o nazar ki har ik rah par
raqeeb e jaan ko hi saath paya!!