maiN un se kah rahi hooN mujhe yaad kijiye
kabhi shab se kabhi sehar se larra karti thee
mudatein huee.n ek shamma yahan jala karti thee
kya baat huee keh aaj sar-e-sham band ho gayee
ek khirrkee jo kabhi ta sehar khula karti thee
sehamta hai dil kyoon ab ki bar is toofa.n me
garajte the badal bijli pehlay bhee gira karti thee
kucch rang yaas me kusht-e-armaan ka hai warna
nomeedi is dil se door hee raha karti thee
khata meri hee thee jo dunya se dil laga baithi
yeh kambakht pehlay kab kisi se wafa karti thee
maiN un se kah rahi hooN mujhe yaad kijiye
kabhi meri yaad jin ki dharrkan huwa karti thee
dekho aaj ham un ki dunya me shamil hee nahin
jin ki dunya kabhi bas ham se huwa karti thee
Daman barrhaa ke oon say yeh faryaad keejiey,
Saayil hoon shehr-i-ishq ka, imdaad kijiey.
Hay imtahaan-i-ishq to chaliey yunhee sahee,
Tesha oothaa ke apney ko Farhaad kijiey.
Tughianion ke kaandhey pe seekha hay ternaa,
Merey junoon kee to zara daad dijiey.
Kahiyey to mein sanwaar doon raatein janaab kee,
Tanhaa guzaar ker na yoon barbaad kijiey.
Yeh aap ke sheher mein charaghaan abhee se kiyoon?
Yeh jashn, yeh khushi to mere ba’ad kijiey.
Yaadein sameyt lijiey gar jaa rahey hein aap,
Per kaat ker merey to naa azaad kijiey.
Wehshat see ho rahee hey mujhey ab sukoon sey,
“Mein un sey keh rahi hoon mujhe yaad kijiey.”
MaiN un say kah rahi hooN mujhay yaad kijye
Wo hus kay kah rahay haiN faryaad kijiye
Aa aa kay doost muj say yay kah kar challay gaay
Kay appnay app ko na yun, barbaad kijiye
Eak wo haiN kay apnee hee dhun mai maghan rahay
Eak hum haiN kay har shaher koo aabad kijiye
Ki saree zindgi tou safar hee mai buss tamam
Aub sham hoo chuki hay, kuch aaram kijiye
Eak bar wo kahdaiN, tou daydooN mai aapnee jan
Ab marnay kay leeyaa bhi, intizar kijiye
Hum say jo poochtay haiN udasi kaa sub subab
Ghum appnay suna kay kyun uhnaiN, ishkbar kijiye
Waada wo kar gaay haiN aanay kaa khowab mai
Aub un ki baat ka kaya , aaitbar kijiye