Koi bhi zard patta,
jab mere qadmon may ata hai,
koi bhi phool bin mosam,
kabhi jo khil bhi jata hai,
mera her dard tab mujh may,
lahoo sa sar sarata hai,
k jab guzra huwa her pal,
achanaq yaad ata hai,
to phir ankhon se bin mosam,
yoonhi barsaat hoti hai,
hamara dard hota hai,
hamare sath tab jaana…!
hamari rooh per us pal,
tumhare sath hoti hai,
main tab bhi her ghari jaana..!
yahi iqrar kerti hoon,
main tumse pyar kerti thi,
main tumse pyar kerti hoon.
Re: Main tum se Pyaar karti hoon
bohat achi nazm hai Dania..:k:
Re: Main tum se Pyaar karti hoon
buhut khoob :)
Re: Main tum se Pyaar karti hoon
nice ..
Re: Main tum se Pyaar karti hoon
It’s Beautiful Dania..![]()