**Main tujhay palkon ki chhaon mein chhupa lon lykin
To mere khuwab mien aa`ay ye zurori to nahi
Tere qurb k ehsas ko mein kardon jamid
Ban ja`ay fasanay sy haqeeqat ye zuroori to nahi
Woh mere khwabon khayalon mein basi hay ab tak
Woh bhi mujh ko dil mein basa`ay ye zurori to nahi
Main nay shab ki tanhai mein usay yaad kia tha
Phir bhi usay hitchki aa`ay ye zuroori to nahi
Meri pyar bhari batain khud hi samajh ja`ay
Izhar-e-ishq ye zuroori to nahi
Mere dil ki halat koi kia janay is waqt
Kaheen sy koi rahnuma milja`ay ye zuroori to nahi
Mujh ko halka sa imkan nazer ata hay
K woh karday inkaar ye zuroori to nahi**