*main to yahaan yeh kehnay aaya thaa:
mohabbat main maaray urdu k shairo
mohabbat k siwa duniya main kuch aur bhi hai
mohabbat se bhari nazmon aur ghazlon k siwa
duniya main aur bhi doosri shaaeri hai
jo ho sakka likh kar dikhlayaa
kuch tajurmay kar k dikhlayaa
main shuroo hi se kehta aaya
apni shaeri ka mod badlo
lakin mohabbat ek cheez hai
jab milti nahin shaer ko
dhoondnay isay a jaata hai
mohabbat ki shaeri main
shaaeron k liyay mohabbat ek gur k pahaar hai
jitna bhi khaayain kum nahin hota
gur kha-kha k gun-gunatay hain
apni mohabbti shsaeri likhay baith jaatay hain
mujhay aisee shaeri se kyaa laina -
sub jhuthay-muthaty lafzon ka pahaar hai
un k dil ki aarzoo hai,
un ka bara bura haal hai
mohabbat k shaairon ko
mohabbat milna bada mushkil hai*
yaar kopra saahab! aap kee shaairi maiN Jalan kaa unsar kaafi numaayaaN hai :D
jin shaareon k sar main mohabbat ghusi huee hai
jin aashikon k dil main mohabbat ghussi huee hai
unsay hamari bari jalan hai
yeh koee Freud ka shaagird hamain kehnay aa giya
hamaari shaeeri main jalan dhoonday aa giya
jin shaareon k sar main mohabbat ghusi huee hai
jin aashikon k dil main mohabbat ghussi huee hai
unsay hamari bari jalan hai
yeh koee Freud ka shaagird hamain kehnay aa giya
hamaari shaeeri main jalan dhoonday aa giya