~!! Main tO Na Tamaam Jawaab hOn Kisi dOosrey Key Sawaal Ka !!~

Na Kamaal e Fun Hii Mila mUjhey Na Jamaal Husn e Kyaal Ka
Main tO Na Tamaam Jawaab hOn Kisi dOosrey Key Sawaal Ka

Meray Saaye Sey Na Simat Sakey Teray Meray dArd Ka FAasla
Karien Zindgii Key Sapurd Kya Yeh tO SilSila hAi Malaal Ka

Meray AaiynOn Mein Jammi Rahii wO jO Reg e dAsht e Firaaq Thi
mUjhey Phir Aseer Na Kar Saka kOii Rang Maazii o Haal Ka

***Kahien Kya Kisey kOii Kya Suney Yeh Hadees e Dil Ka mUaamla ***
Na Fasaana Laila o Qais Ka Na Qissa Heer Siyaal Ka

JiSey KhOjta Hii Raha Sada Teray Harf Harf Mein rOz o Shab
Teri Aankh Main Tha ChUpa hUa wO Jawaab Meray Sawaal Ka

Re: ~!! Main tO Na Tamaam Jawaab hOn Kisi dOosrey Key Sawaal Ka !!~

nice :k:

very nice :k:

JiSey KhOjta Hii Raha Sada Teray Harf Harf Mein rOz o Shab
**Teri Aankh Main Tha ChUpa hUa wO Jawaab Meray Sawaal Ka
*
*brilliant!!!