***Main To Iss Karb-E-Nazara Say Tarap Utha Hoon…!!!
Main To Iss Karb-E-Nazara Say Tarap Utha Hoon
Kitnay Aaisay Hain Jinhain Hasrat-E-Beenaee Hai
Jin Ki Qismat Main Kabhi Dolat-E-Deedar Nahi
Jin Ki Qismat Main Tamasha Na Tamashaee Hai
Jo Tarsatay Hain K Kirnoo’n Ko Barasta Dakhei’n
Jo Yah Kahtay Hain K Manzil Nahi Rasta Dekhei’n
Unn Say Kah Do K Vo Aaein Maree Aankhain Lay Lain
Iss Say Pahlay K Jisam Mara Fana Ho Jaey
Iss Say Pahlay K Yah Khakstar-E-Jaa’n Bhi Na Rahay
Iss Say Pahlay K Hashar Bapa Ho Jaey
Apnay Chahray Pay Laga Lay Koi Mairi Aankhain
Kon Sah Paey Ga Lakin Mairi Aankhoo’n K Aazab
Kis Ko Yah Hosla Ho Ga K Hamaisha Dekhay
Apni Palkoo’n Ki Saliboo’n Say Utartay Howay Khawab
Jin Ki Kircheeo’n Ki Chubhan Rouh Main Bas Jati Hai
Zindagi,Zindagi Bhar K Liyey Kurlati Hai … !
Main To Iss Karb-E-Nazara Say Tarap Utha Hoon
Kitnay Aaisay Hain Jinhain Hasrat-E-Beenaee Hai …!!***