main to ek khvaab hoon ...

main to ek khvaab hoon …
is khvaab se tu pyaar na kar
pyaar ho jaaye to, phir pyaar ka izhaar na kar
main to ek khvaab hoon …

ye hawaayein sabhi chup chaap chali jaayeingi
laut kar phir kabhi gulshan mein nahin aayeingi
apne haathon mein hawayon ko giriftaar na kar
main to ek khvaab hoon …

shaakh se toot ke gunche bhi kabhi khilthe hain
raat aur din bhi zamaane mein kahin milthe hain
bhool ja jaane de taqdeer se taqaraar na kar
main to ek khvaab hoon …

main to ek khvaab hoon …

Bohut khoob :k:

khwab to hain magar yeh naheen bataya ke adhoora ya mukammal? :rolleyes:

main to ek khvaab hoon …
:dhimpak:

nice.thanks for sharing…

Beautiful poem

Sadzz yaar thanks for sharing it.

nice:k:

thanks for sharing:k:

:k: one of ma fav…:slight_smile: