smilly
1
Howi hai shaam to aankhon main bus gaya phir tu
Kahan gaya hai mere shehr ke musafir tu
Meri masaal ka ik nakhle khashke sehra hon
Tera khayal ke shaake-e-chaman ka tayir tu
Main janta hon ke dunia tujhe badal de gi
Main manta hon ke esa nahi bazahir tu
Hansi khushi se bichar ja ager bicharna hai
Ye hur makaam pe kya soochta hai akhir tu
Fiza udaas hai tur muzmahil hai main chup hon
JO ho sake to chala aa kisi ki khatir tu
Faraz to ne use mushkilon main daal diya
zamana saahib-e-zur aur sirf shair tuu…
Ahmed Faraz Book “Na_Yaafat”
Re: main to bhool chuka tha usay…
bohat aala :k:
smilly
3
Re: Re: main to bhool chuka tha usay…
shukria:)
Daagh
13
bahot achche smilly
*Fiza udaas hai tur muzmahil hai main chup hon
JO ho sake to chala aa kisi ki khatir tu *
wah wah...
smilly
14
[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *
bahot achche smilly
*Fiza udaas hai tur muzmahil hai main chup hon
JO ho sake to chala aa kisi ki khatir tu *
wah wah...
[/QUOTE]
shukria:)
**Main Janta Hon K Dunya Tujhey Badal De Gi
Main Manta Hon K Aisa Nahi Bazahir To **
2 Good :k: