^*^Main Teray Dil Say Hum Awaz Nahi Hau Sakti^*^

Main Teray Dil Say Hum Awaz Nahi Hau Sakti
Yeh Kahani Abhi Aaghaz Nahi Hau Sakti

Dil Ki Dharkan Kau Meri Janbish-e-Ubroo Na Samajh
Main Pus Silsila-e-Naaz Nahi Hau Sakti

Mujh Kau Aata Hi Nahi Hujra-e-Gul May Rehna
Main Hawaon Kay Lye Raaz Nahi Hau Sakti

Main Tau Aainay Ki Manind Tairay Samnay Hoon
Teri Nuzzar Say Nuzzar Andaz Nahi Hau Sakti

Mujh Kau Aata Hi Nahi Halut-e-Ghum Mai Rauna
Main Kissi Durd Ki Ghumaaz Nahi Hau Sakti

Itni Fursat Hi Kahan Hay Kay Paheli Bhoojoon
Ab Muhabbat Pus-e-Alfaaz Nahi Hau Sakti

Phool Hi Phool Kay Lehjay Main Sadaa Daita Hay
Dil Ki Dharkan Teri Aawaz Nahi Hau Sakti

Is Lye Woh Mujhay Ji Bhar Kay Satata Hay
Jaanta Hay Kay Main Naraaz Nahi Hau Sakti
:slight_smile:

Nice,Thanks for Posting Seema:-)

Beautiful....

:k:

Nice :-)

:)...

:)

bohut khoob:k::k:

Re: ^^Main Teray Dil Say Hum Awaz Nahi Hau Sakti^^

Umeed to kee ja saktee hai na, abhee naheen sahee, kabhee na kabhee sahee :wink:
Its a beautiful ghazal Seema, well worded and appealing. Thanks for sharing :k:

wowww zaberdast seema :k:

Re: ^^Main Teray Dil Say Hum Awaz Nahi Hau Sakti^^

Fabulous one :k:

buhat khoob :k:

Re: Re: ^^Main Teray Dil Say Hum Awaz Nahi Hau Sakti^^

u hvn’t read it clearly, it even said
**Itni Fursat Hi Kahan Hay **
:halo:

Re: Re: Re: ^^Main Teray Dil Say Hum Awaz Nahi Hau Sakti^^

Mein ne yeh parha tha magar is say kia faraq parta hai? :smiley:

nice :k:

Re: ^^Main Teray Dil Say Hum Awaz Nahi Hau Sakti^^

Seema great choice :k:
Thanks for sharing…

Re: ^^Main Teray Dil Say Hum Awaz Nahi Hau Sakti^^

:k: