MaiN tera hooN

MaiN tujh say na mangooN tou na mangooN ga kissi say
MiaN tera hooN, tu mera Khuda, mera Khuda hay!!

baeshaq!! very nice! :)


~yeh noor ke sholay uthtay hain, mera hee dil garmanay ko
jo bijli ufak main chamki hai, chamki hai mere taRpanay ko~


Apnay akailay pan ka main kis say gila karoon
Jis ko bhi murh kay daikha woh tanhayOon maiN hay~

WAH, zabardast haye

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


Ye tu woh hi loogh hian jo mehnat se paatey hian
YouNhe nahi likhta hia VOH jaageer haatale main

[quote]
Originally posted by ahmadjee:
MaiN tujh say na mangooN tou na mangooN ga kissi say
MiaN tera hooN, tu mera Khuda, mera Khuda hay!!

[/quote]

Jo dard sisaktay huwe Hurfon me Dhalaa hay!!
ahem ahem ahmadjee!!
Very Nice :)


~~~~*
"If you belong to Allah, rest assured that Allah will indeed belong to you"
"Dream as if u live forever live as if u will die today"
"The best way to cheer yourself up is to try to cheer somebody else up."
~~~~*

Wah .. Superb …

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


I’m Gonna Be The Champ
The Way I Wanna Be
( Muhammad ALI )

Beautiful...

subhanallah…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

… deep … very nice indeed

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

.. thank you


At the touch of love, everyone becomes a romantic

[quote]
Originally posted by Shaam-e-Firaq:
** Jo dard sisaktay huwe Hurfon me Dhalaa hay!!
ahem ahem ahmadjee!!
Very Nice :)

**
[/quote]

Shayad kay woh josh-e-judai meiN pala hai. I might've said it wrong, love the nazm though. :)

wah

**
[/QUOTE]

Shayad kay woh josh-e-judai meiN pala hai. I might've said it wrong, love the nazm though. :)**
[/QUOTE]

Bismah Jii:)
wuh aese tha keh
Jo dard sisakte hue harfon me dhala hai
shaaid keh yeh aagosh-e-judaai me pala hai
!!!!yeah i also like this Nazm .

[quote]
Originally posted by Shaam-e-Firaq:
**
Bismah Jii:)
wuh aese tha keh
Jo dard sisakte hue harfon me dhala hai
shaaid keh yeh aagosh-e-judaai me pala hai
!!!!yeah i also like this Nazm .**
[/quote]

Thanx for the correction, SF, I knew i was wrong. :)

Shaam-e-Firaq,

Do you have the whole nazam? Please do post it! :)

janab
u asked for it u got it:)

kashkol mein bhar day jo meray dil mein bhara hay

jo dard sisakte hue hurfoN mein dhala hay
shaaiyad keh yeh Aghoshe-Judaai mein pala hay
Gham day keh kisay fiqar-e- mareeze-shab-Gham
Yeh kon hay jo dard mein rass ghol raha hay
Yeh kis nay meray dard ko jeene ki talab di
Dil kis kay liye Umr-e-khizar maang raha hay
Har Roz nae Fiqr hain, har shab hain nae Gham
Ya-Rab yeh mera dil hay keh Mehmaan-saraa hay
Kya tum ko khabar hay rah-e-mola kay aseero!!
Tumsay mujhay ik Rishta-e-Jaan sab say siwa hay
Aa jaatay ho kartay ho mulaqat shab-o-roz
Yeh silsila-e-Rabt-e-baham, subho-masaa hay
Tum nay meri jalwat mein nae rang bharay hain
Tumnay meri tanhaaiyon mein saath diya hay
Tum chandani raaton mein meray paass rahay ho
Tum say hi meri naqra-e-subhon mein Zayaa hay
Kis din mujhay tum yaad naheen aae magar aaj
Kya Roz-e-qayamat hay ! keh ik Hashr-ba-paa hay
Yadon kay mussafir ho tamanaao kay Paekar
Bhar detay ho dil phir bhi wuhi aik khalaa hay
Seenay say lagaa lenay ki Hasrat naheen mitteti
Pehloo mein bithaanay ki Tarap had say siwa hay
Yaarab yeh gada teray hi darr ka hay sawaali
Jo daan mila teri hi chohkhat say mila ahy
Mein tujhsay na maangoo tou na maangoo ga kisi say
Mein tera huun tuu mera Khuda mera khuda hay!!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

*Yeh kis nay meray dard ko jeene ki talab di
Dil kis kay liye Umr-e-khizar maang raha hay
.
.
.
Seenay say lagaa lenay ki Hasrat naheen mitteti
Pehloo mein bithaanay ki Tarap had say siwa hay
*

Bohat bohat Shukria! :slight_smile:

very nice sher ahmadjee and gr8 poem shaam-e-firaaq

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


—~—Maria—~—
~Kiya haaq wo jeena hai jo apnay hi liyay ho
Khud mit kar kisi aur ko mitnay se bacha lay~

thxx ahmadjee & Maheen

[This message has been edited by Shaam-e-Firaq (edited May 21, 2002).]