A beutiful nazm by Shaikh Syed nafees alhussaini (Naib ameer khatm e nabuwat) after he came from his first hajj.
i am posting it here so that some one can read it for me. ![]()
Anwaar bhai- please ![]()
Main Tau iss qabil na Tha
Shukar hay tera khudaya,Main Tau iss qabil na Tha
Tau nay apnay ghar bulaya,Main Tau iss qabil na Tha
Apna Deewana Banaya, Main Tau iss qabil na Tha
Gird Kaabay kay phiraya, Main Tau iss qabil na Tha
Mud-daton ki piyas ko seerab tau nay ker diya
Jam zamzam ka pilaya, Main Tau iss qabil na Tha
Dal dee thandaq meray seenay main tau na saqiya
Apnay seenay say Lagaya, Main Tau iss qabil na Tha
Bha gaya meri zaban ko zikr Ilalalah
Ye sabaq kis nay parhaya ,Main Tau iss qabil na Tha
Khas apnay darr ka rakhay tau na aaye moula mujhay
Yun nahi dar dar phiraya, Main Tau iss qabil na Tha
Meri kotahi kay teri yaad say ghafil raha
per nahi tau nay bhulaya, Main Tau iss qabil na Tha
Main kay tha Bay rah tau nay dastageeri aap ki
Tau hi mujh ko rah pay laya, Main Tau iss qabil na Tha
Ahd jo roz-e-azal tujh say kiya tha yaad hay
Ahd wo kis nay nabhaya,Main Tau iss qabil na Tha
Teri rehmat teri shafqat say hoa mujh ko naseeb
Gunbad-e-khizra ka saya, Main Tau iss qabil na Tha
Main nay jo daikha so daikha julwah gah e guds main
aur jo paya so paya,Main Tau iss qabil na Tha
Bargah e syed e qounaian:saw: main aa ker nafees
sochta haun kaisay aaya? Main Tau iss qabil na Tha