Teray baaray main jab, soucha nahin tha ,
Main tanha tha magar , itna nahin tha ,
Teri tasveer say karta tha baatain ,
Mairay kamray main koi aaina nahin tha ,
Main tanha tha magar itna nahin tha
Samander nay mujhay piyaasa he rakha ,
Main jab Sehra main tha piyaasa nahin tha ,
Main tanha tha magar itna nahin tha
Mananay roothnay k khail main hum ,
Bichhar jaingay , yeh soucha nahin tha ,
Main tanha tha magar itna nahin tha ,
Suna band kar leen ab us nay aankhain ,
Kaee raaton say woh soya nahin tha ,
Main tanha tha magar itna nahin tha
Tumahray bin bhi main tanha tha magar
itna nahin tha***