Main siyah raat kay safar par hoon

Main siyah raat kay safar par hoon
aik qendeel yaad-e-janaan ki
haath men hai,magar hawa hai taiz

main to ik baat kay safar par hoon
jo kisi kunnj-e-labb say phooti thi
aur meri tamaam umr ko— aik
dasht-e-pur khaar men dhakail ga’ee

saari subhein,usi kay naam huuin
saari fathein,usi kay naam huuin
main,faqat maat kay safar par hoon
main to ik baat kay safar par hoon<O:p</O:p

Re: Main siyah raat kay safar par hoon

Beautiful

Re: Main siyah raat kay safar par hoon

Niceee :k: