Re: Main shayar nahin
Haal-e-dil kaa bayaaN ho yaa Husn kii pazeeraaii...shaa'ir koii na koii bahaane talaash kar hii letaa hai! :)
Re: Main shayar nahin
Haal-e-dil kaa bayaaN ho yaa Husn kii pazeeraaii...shaa'ir koii na koii bahaane talaash kar hii letaa hai! :)
Re: Main shayar nahin
Toh karo bayan, kiss any roka hai.
Re: Main shayar nahin
Haal-e-dil kaa bayaaN ho yaa Husn kii pazeeraaii...shaa'ir koii na koii bahaane talaash kar hii letaa hai! :)
Husn ki pazeerai bhi to dil ko ache lagne wale shakhs ka bayaan hai.. matlab baat phir wohi dil ke haal tak pohunchi :)
Re: Main shayar nahin
Ab her kisi se to bayan nahin ki ja sakti na dil ki baat… aap sunaen Fakhira ka kalam nahin post kia aaj aap ne.. Ayesha Peerzada pasand agai? ![]()
Re: Main shayar nahin
Nice shair:k:
Re: Main shayar nahin
Husn ki pazeerai bhi to dil ko ache lagne wale shakhs ka bayaan hai.. matlab baat phir wohi dil ke haal tak pohunchi :)
be_niyaazii Had se guzrii, banda_parvar!, kab talak
ham kaheNge Haal-e-dil, aap farmaaveNge..."KIA?"
Re: Main shayar nahin
Haal e dil sab ko bayan ker nay ki kya zaruurat hai?
Re: Main shayar nahin
Haal e dil sab ko bayan ker nay ki kya zaruurat hai?
Jab badal barasta hai to wo ye nahin dekhta ke zameen banjar hai ya phir zarkhez.. waise hi dil pe jab guzarti hai to sab se bayan karne ko dil karta hai
Re: Main shayar nahin
haale dil to sheron ke intkhab se bhi pata chal jata hy
khulta kisis pe kion mere dil ka muamla
sheron k intakhab ne ruswa kia mujy
by
SODA
Re: Main shayar nahin
haale dil to sheron ke intkhab se bhi pata chal jata hy
khulta kisis pe kion mere dil ka muamla sheron k intakhab ne ruswa kia mujy by SODA
Waise ye soda konsa soda salaf bechte the?
Re: Main shayar nahin
mujy unka pura naam nahi aata
Re: Main shayar nahin
Haal e dil sab ko bayan ker nay ki kya zaruurat hai?
shaa'ir-e-fitrat huN maiN, fikr jab farmaataa huN maiN
rooH ban kar zarre zarre meN samaa jaataa huN maiN!
ab agar zarre meN samaa jaataa hai shaa'ir to zarre zarre se numaayaaN bhii hogaa vo! :)
Re: Main shayar nahin
Mirza Rafi Soda.. Ab ye mat kehna ke singer the
Re: Main shayar nahin
uffo…Ghalib ke itne mash’hoor she’r ko baGhair mujh se poochhe Sauda kar ke Mohd. Raf’ii Saudaa ko de diyaa aur unhoN ne Mohd. Raf’ii se gavaa bhii liyaa…waah waah waah! ![]()
Re: Main shayar nahin
Mirza Soda Ghalib ke shair thok ke bhao khareed ke apni packing main apni soda salaf ki dukan per bechte the ![]()
Re: Main shayar nahin
achchhaa…lol…to, aap bhii kia unke ‘saudaaii’ haiN…matlab unhiiN se sauda salaf lete haiN? ![]()
Re: Main shayar nahin
wo to jiia ne Ramadan package main unse kharidari kar li hai… hum o direct Ghalib se wholesale pe purchase karte hain