Main Sharminda haun

Meray bachay tau meri bayhisi ko dar guzar ker day
Kay main her rauz khabroon main
teray piyaron ko martay daikhta haun
aur main kuch nahi ker sakta
meri aankhoon main hay manzar
kisi kay zinda jalnay ka,kisi boorhi kay girnay ka,kisi maan kay bilknay ka
kisi aik baap ki aagoosh main bachay kay marnay ka
her ik manzar khtakta hay meray dil main
magar kuch ker nahhi sakta
meray bachay tau meri bayhisi ko darguzar ker day
bohat sharminda haun main samnay teray
main apnay kasht o khoon main iss qadr masroof ho her dum
kay main teri himayat main dushman say lar nahi sakta
meri apni hi jangain hay meray apnay hi gazye hain
lissani meray jhagray
ilaqai ta’asub bhi
maashi razm e paiham bhi
hazroon meray jhagray hain
jo mujh ko bandh rakhtay hain
so main her rauz khabroon main
teray piyaroon ko martay daikhta haun
aur main kuch nahi ker sakta
magar mujh ko yaqeen hay
meray bachay, tau ye jang jeet jai ga
dusmanoon ki golion raktaon kay bawajood ik din
fatah tera muqaddar hay
tujhay mujh jaisay logon kay saharay ki kia zaroorat
bari taqat kay jaloot sub hi tujh say dartay hain
aur wo ye achi tarah say jantay hain kay
tu is daur ka dawood hay
aur teray hathoon main
wahi tareekhi pathar hay
[RIGHT]By- Ahmed safi[/RIGHT]

Re: Main Sharminda haun

very well said

Re: Main Sharminda haun

after watching these pics khoon kholnay lagta hai...but cant do much about it...Allah plz give us the strength to win this war against zionists