Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
Yeh sheher sara hee so chukka hai main jagta hooN k kuch likhooN ga
Main pichlay mausam kee baarishooN ko phir apni aankhooN main la raha hooN
K ab kay sawan ke rutt main, main bhee yeh sochta hoon k kuch likhooN ga
Woh saaray rastay kay jin pe hum ne muhabatooN ke safar kiya thay
Main ab jo un per kabhi gaya tu yeh janta hooN k kuch likhooN ga
Bahar rut k woh khawaab saray jo mairi palkooN pe aa sajjay thay
Woh khawaab aankhooN main jal chukkay hain main jal raha hooN k kuch likhooN ga
Main lafz palkooN se xhun raha hooN, main khawaab kaghaz pe bun raha hooN
Main tairi aahat bhee sun raha hoon, main janta hoon k kuch likhooN ga
Ajeeb rutt hai judaiooN kee udaas din hain udaas raatain !!!
**Main chand muhmil se lafz likh ker yeh sochta hoon k kuch likhooN ga **
Atif Saeed
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
Nice.. :)
SJ
August 7, 2007, 8:09am
3
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
Very nice..................
*Waisay app nay Kuch likha bhi hai ya nahin abhee tak?:D *
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
Copy paste specialist
SJ
August 7, 2007, 8:50am
5
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
deep_ocean:
Copy paste specialist
awwww…
mein app ki zaatee kaawish k baray mein daryaft kar rahee thee:smack:
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
Main lafz palkooN se chun raha hooN
** main khawaab kaghaz pe bun raha hooN**
Main tairi aahat bhee sun raha hoon
** main janta hoon k kuch likhooN ga**
Ajeeb rutt hai judaiooN kee udaas din hain udaas raatain !!!!
*Main chand muhmil se lafz likh ker yeh sochta hoon k kuch likhooN ga *
v nice sharing ocean :)
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
thanks NJ ji :)
Sheal
August 7, 2007, 2:16pm
8
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
very nice :). thanks for sharing.
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
buhut khub :k:
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
thanks :)
Re: Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
ajeeb si hai poem parhtay parhtay dehan kahi aur layjati