**Main Sans Bhi Gin Kar Leta Hun Jis Roz Safar Mein Rehta Hun,
Ek Khofzada Jiwan Le Kar Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Jahan Zaat Nasal K Jhagro Pe Hatiyar Uthaya Jata Hai,
Har Roz Kai Masoomon Ka Jahan Khoon Bahaya Jata Hai,
Jahan Moat Bhi Matam Karti Hai,
Me Usi Nagar Main Rehta Hun,
Ek Khofzada Jiwan Le Kar Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Har Roz Kisi Maa Ka Beta, Be Moat Hi Mara Jata Hai,
Har Roz Kisi Ki Mayyat Ko Dharti Main Utara Jata Hai,
Kabhi Main Bhi Mara Jaunga, Main Isi Fikar Mein Rehta Hun,
Jis Shehr Ka Naam Karachi Hai, Mein Usi Shehr Me Rehta Hun.
**