Main sahil pey ...

Main sahil pey likhee hui ibaarat nahi Jo lehron se mit jati hai
Main baarish ki barasti boond nahi Jo baras ker tham jaati hai
Main khawab nahi Jisey dekha aur bhula diya
Main shama nahi Jisey phoonka aur bujha diya
Main hawa ka jhonka nahi Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahi Jo raat k baad dhal gaya
Main tho woh ahsaas hoon Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main tho woh rang hoon Jo teray charay se kabhi na mitay
Main woh geet hoon Jo teray labon se juda na hoga
Main tho woh parwaana hoon Jo jalta rahega magar fana na hoga

Re: Main sahil pey …

Old but nice :k:

Re: Main sahil pey ...

hmm :)