Main sahil pay likhi hoi ibaarat nahi

***Main sahil pay likhi hoi ibaarat nahi
Jo lehron se mit jaati hay

Main baarish ki barasti hoi boond nahi
Jo baras kay thum jaati hay

Main khawab nahi
Jisey dekha aur bhula diya

Main shama nahi
Jisey phoonka aur bhuja diya

Main hawa ka jhonka nahi
Jo aaya aur guzar gaya

Main chand bhi nahi
Jo raat ka baad dhal gaya

Main to wo ehsaas hoon
Jo tujhe main lahoo ban ker gardish karay

Main to wo rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na otray

Main wo geet hoon
Jo teray labon se kabhi juda na ho

Main to woh parwana hoon
Jo jalta raha magar fana na ho

Main to wo aag hon
Jo aik dafa kisi ka dil main lag jaye
To 7 samander ka pani bhi kam par jaya

Khawab, ibaarat, hawa ki tarah
Chand, boond, shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahi***

Re: Main sahil pay likhi hoi ibaarat nahi

very nice

Re: Main sahil pay likhi hoi ibaarat nahi

nice one dani :)

Re: Main sahil pay likhi hoi ibaarat nahi

nice one