maiN saari raat pey'RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

***guruub-e-shaam he se Khud ko yuuN mahasuus kaRtaa huuN
k jaise ik diyaa huuN auR havaa ki zad pe rakhaa huuN

chamakati dhuup tum apane he daamaN meiN na bhaR ley’naa
maiN saari raat pey’RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

koi TuuTaa huaa rishtaa na daamaN se ulajh jaa’ey
tumhaare saath pahli baar baazaa’RooN meiN niklaa huuN

ye kis aavaaz kaa bosaa merey honThooN pe kaa’Npaa hai
maiN pichhli shab sadaa’ooN ki halaavat bhuul baiThaa huuN

bichhaR k tum se maiN ne bhi koi saathi nahiN dhuu’NDhaa
hujuum-e-rah_guzaR meiN duuR tak dekho akelaa huuN

***

Re: maiN saari raat pey'RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

Good One Koyal..:)

Re: maiN saari raat pey'RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

thnaks Aryaan :)

Re: maiN saari raat pey’RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

aik mazay ki bat bataon main pairon(trees) ko feet parh k hairan thi k jab sara jism chupa hai to khali pair kiun barish main bheeg rhe hain :omg: any how alaa one.

Re: maiN saari raat pey’RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

Bohat shaandaar ghazal hey Koyal ji :k: … tamaam aashaar bohat achey heiN … thanx for sharing it with us.

Re: maiN saari raat pey’RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

boht aala :k:

kuch aisa hi mamla yahan bhi hoa:p

Re: maiN saari raat pey’RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

thanks IS :slight_smile:

Re: maiN saari raat pey’RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

chukia Amal ap ko pasand aiay :slight_smile:

Re: maiN saari raat pey’RooN ki taRha baaRish meiN bheeghaa huuN

:hehe: