Dunia ka bhi kuch bura tamasha nahi raha
Dil chahta tha jis terah waisa bhi nahi raha
Tum say millay bhi hum , judaaie kay Mor per
Kashti hoyee naseeb to darya nahi raha
Kehtay thay ik pal na jeeain gay tere baghair
Hum donoo reh gaye , woh wada nahi raha
Katay hain tere bad is terah roz -o-shab
Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
Ankhain bhi daikh daikh k khuwab, aa gai hain tung
Dil main bhi ab woh shoq , woh lapka nahi raha
Kaysay milaain aankh kissi aainay say hum
Hamaray paas to ab chehra nahi raha !
muddii
2
Re: Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
Nice :)
S.786
3
Re: Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
aakhri misra kuch be wazan hy..
es tarha huna chahiye.......ab tu hamaary paas koi chehra nahin rahaa...
very..good
Aryaan
4
Re: Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
Nice One Starlight...
Re: Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
v nice sharing star and I agree with sonia :)
Re: Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
Sonia…
kaun Sonia, kidhar hai Sonia ?? 
P.S: Nice SL :k:
Re: Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
very nice :k:
Re: Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
nice
Re: Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
Buhat Aala :k:
Is Main Aap Apna Weight daal kar WazanDaar Bana Dain
…j\k
Daanie
10
Re: Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
nice sharing :)