Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee

**Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay

Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay

Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya

Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya

Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya

Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye

Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay

Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay

Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga

Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga

Khwab, ibaarat, hawa ki tarah
Chand, boond, shama ki tarah

Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay Main To Mohabbat Hoon

Aur Mohabbat ko Koi Zawaal Nahee.**

Re: Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee

Kisi Ne Such Kaha Tha Yeh,
Muhabbat Mar Nahi Sakti
Magar Adhora Such Suna Hum Ne,
Mukamal Such To Yeh Hai Ke,
Muhabbat Khud Nahi Marti, Muhabbat Maar Deti Hai..

Re: Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee

Well Said…:k::k:

Re: Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee

:k: